The genre of Zindagi Shayari, or poetry about life, masterfully captures in lyrical lines the heart of the human experience. It explores the wide range of feelings, events, and discoveries that define life’s journey. Zindagi Shayari goes into the highs and lows, victories and difficulties, happiness and heartbreak experienced along the journey.
It provides insights into the complexity of existence through spoken words and moving images, highlighting the challenges and risks that come with living but also celebrating happy and romantic times. Zindagi Shayari in English gives the timeless lessons and general truths that Shayari’s art expresses connect strongly with readers, who use these words as a source of inspiration, thought, and peace.
Through lyrical language, Zindagi Shayari in English allows readers to think about the complexity and beauty of life’s journey while capturing the richness and depth of human emotions. Read more shayari about Urdu Zindagi Shayari.
Zindagi Shayari in English
- Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itne Qareeb Se,
- Chehre Tamam Lagne Lage Hain Ajeeb Se.
- Kya Likhun Hakeekat-E-Dil Aarzoo Behos Hai,
- Khat Par Aansoo Bah Rahe Hain Kalam Khamosh Hai.
- Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin,
- Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon.
- Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe Bithaye Rakhna,
- Zindagi Nagavaar Sahi Dil Se Lagaye Rakhna.
- Bade Hi Ajeeb Hain Ye Zindagi Ke Raaste,
- Anjane Mod Par Kuchh Log Apne Ban Jate Hain,
- Milne Ki Khushi Dein Ya Na Dein,
- Magar Bichadne Ka Gam Zaroor De Jate Hain
- Jeene Ka Hausla Kabhi Marne Ki Aarzoo,
- Din Yoon Hi Dhoop-Chhaaon Mein Apne Bhi Kat Gaye.
- Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
- Zulf-o-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai,
- Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Huyi Iss Duniya Mein,
- Ishq Hi Ek Hakiqat Nahi Kuchh Aur Bhi Hai.
- Sar-e-Aam Mujhe Ye Shikayat Hai Zindagi Se,
- Kyun Milta Nahi Mijaaz Mera Kisi Se.
- Zindagi Uss Ajnabi Mod Par Le Aayi Hai,
- Tum Chup Ho Mujhse Aur Main Chup Hun Sabse.
- Kitna Mushkil Hai Zindagi Ka Yeh Safar,
- Khuda Ne Marna Haraam Kiya Logon Ne Jeena.
- Jugnuon Ki Roshni Se Teergi HatTi Nahi,Aayine Ki Saadgi Se Jhoothh Ki Patti Nahi,
- Zindagi Mein Gham Nahi Fir Ismein Kya Mazaa,
- Sirf Khushion Ke Sahare Zindagi KatTi Nai.
- Aaram Se Tanha Kat Rahi Thi To Achchhi Thi,
- Zindagi Tu Kahan Dil Ki Baaton Mein Aa Gayi.
- Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
- Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.
- Pahchaanu Kaise Tujh Ko Meri Zindagi Bataa,
- Gujri Hai Tu Kareeb Se Lekin Naqaab Mein.
- Jaane Kab Aake Dabe Paanv Gujar Jaati Hai,
- Meri Har Saans Mera Jism Purana Kar Ke.
- Bakhsha Hai Thhokaron Ne Sambhalne Ka Hausla,
- Har Haadsa Khayal Ko Gahraayi De Gaya.
- Roj Dil Mein Hasraton Ko Jalta DekhKar,
- Thak Chuka Hoon Zindagi Ka Ye Ravaiya DekhKar.
- Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hoon,
- Yeh Kya Kam Hai Apni Pahchaan Bacha Paya Hoon,
- Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,
- Jeene Ka Main Itna Hi Saman Bacha Paya Hoon.
- Had-e-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali,
- Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali,
- Safar Jo Dhoop Ka Kiya To Tazurba Hua,
- Wo Zindagi Hi Kya Jo Chhaon-Chhaon Chali.
- Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
- Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.
- Fursat Mile Jab Bhi To Ranjishen Bhula Dena,
- Kaun Jaane Saanso Ki Mohlatein Kahan Tak Hain.
- Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se,
- Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ab To Ajeeb Se.
- Nahi Mangta Ai Khuda Ke Zindagi Sau Saal Ki De,
- De Bhale Chand Lamhon Ki Lekin Kamaal Ki De.
- Sabak Wo Humko Parhaye Hain Zindagi Ne Ke Hum,
- Hua Tha Jo ilm Kitaabon Se Wo Bhi Bhool Gaye.
- Jahan-Jahan Koi Thhokar Hai Meri Kismat Mein,
- Wahin-Wahin Liye Firti Hai Meri Zindagi Mujhko.
Zindagi Sad Shayari in English
In English, Zindagi Sad Shayari explores the highs and lows of loss and sadness that often come with life’s hardships. These moving lines vibrate with the pain of loss, disappointment, and missing out like ghosts in the soul. Every sentence is heavy with hopelessness, reflecting the honest feelings of disappointment and heartbreak. Explore more shayari like Life shayari.
- Daudti Bhagti Zindagi Ka Yehi Tohfa Hai,
- Khub Lutaate Rahe Apnapan Fir Bhi Log Khafa Hain.
- Kabhi Khole To Kabhi Zulf Ko Bikhraye Hai,
- Zindagi Shaam Hai Aur Shaam Dhali Jaye Hai.
- Itni Bhi Bad-Saluki Na Kar… Ai Zindagi,
- Hum Kaun Sa Yehan Baar-Baar Aane Wale Hain.
- Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar To Hai,
- Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.
- Thak Gaya Hoon Teri Naukari Se Ai Zindagi,
- Munaasib Hoga Mera Hisaab Kar De.
- Ghairo Se Poochhti Hai Tareeka Nizaat Ka,
- Apno Ki Saajishon Se Pareshaan Zindagi.
- Mujh Se Naaraaj Hai To Chhod De Tanha Mujhko,
- Ai Zindagi Mujhe Roz-Roz Tamasha Na Banaya Kar.
- Roj-Roj Gir Kar Bhi Mukammal Khade Hain,
- Ai Zindagi Dekh Mere Hausle Tujhse Bhi Bade Hain.
- Mujh Se Naaraaj Hai To Chhod De Tanha Mujhko,
- Ai Zindagi Mujhe Roz-Roz Tamasha Na Banaya Kar.
- Zindagi Tu Koi Dariya Hai Ke Sagar Hai Koi,
- Mujhko Maloom To Ho Kaun Se Paani Mein Hun Main.
- Fursat Agar Mile To Mujhe Parhna Jaroor,
- Nakaam Zindagi Ki Muqammal Kitab Hoon Main.
- Hasil-e-Zindagi Hasrato Ke Siwa Aur Kuchh Bhi Nahi,
- Ye Kiya Nahi, Wo Hua Nahi, Ye Mila Nahi, Wo Raha Nahi.
- Hai Ajeeb Shahar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai,
- Kahi Karobaar Si Dophar Kahi Bad-Mijaz Si Shaam Hai.
- Manzile Mujhe Chhod Gayin Raston Ne Sambhal Liya
- Zindagi Teri Jarurat Nahi Mujhe Haadson Ne Paal Liya.
- Manzile Mujhe Chhod Gayin Raston Ne Sambhal Liya
- Zindagi Teri Jarurat Nahi Mujhe Haadson Ne Paal Liya.
- Kuchh Aag Aarzoo Ki Ummeed Ka Dhuaan Kuchh,
- Haan Raakh Hi To Thhehra Anjaam Zindagi Ka.
- Har Ek Chehre Ho Zakhmo Ka Aayina Na Kaho,
- Ye Zidagi To Hai Rehmat Ise Saza Na Kaho.
- Na Kar Shumaar Ki Har Shay Gini Nahi Jaati,
- Ye Zindagi Hai Hisaabon Se Jee Nahi Jaati.
- Najariya Badal Ke Dekh Har Taraf Najraane Milenge,
- Ai Zindagi Yehan Teri Takleefon Ke Bhi Deewane Milenge.
- Ai Zindagi, Todkar Humko Aise Bikher De Iss Baar,
- Na Fir Se Toot Payein Hum, Aur Na Fir Se Jud Paye Tu.
- Yun Hi Khatm Ho Jayega Jaam Ki Tarah Zindagi Ka Safar,
- Kadwa Hi Sahi Ek Baar To Nashe Mein Hokar Piya Jaye.
- Paani Pher Do Inn Panno Par Taki Dhul Jaye Syahi Sari,
- Zindagi Fir Se Likhne Ka Man Hota Hai Kabhi Kabhi.
- Jab Bhi Suljhana Chaha Zindagi Ke Sawalon Ko Maine,
- Har Ek Sawaal Mein Zindagi Meri Ulajhti Chali Gayi.
- Zindagi Log Jise Marham-e-Gham Jaante Hain,
- Jis Tarah Hum Ne Gujari Hai Wo Hum Jante Hain.
- Kuchh Iss Tarah Se Gujaari Hai Zindagi Jaise,
- Tamaam Umr Kisi Doosre Ke Ghar Mein Raha.
- Jo Teri Chaah Mein Gujri Wahi Zindagi Thi Bas,
- Uske Baad To Bas Zindagi Ne Gujara Hai Mujhe.
Emotional Zindagi Shayari in English
Emotional English Shayari explores the depths of human emotion providing moving thoughts on the moving path of life. These poems are like windows into the soul; they represent the pure reality of all our feelings, from deep joy to deep sorrow. Every sentence captures the complexity of the human heart, conveying the pain of loss, a desire for love, and in the face of difficulty.
- Ab To Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
- Saans Leta Hun To Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
- Kabhi Razi To Kabhi Mujse Khafa Lagti Hai,
- Zindagi Tu Hi Bata Tu Meri Kya Lagti Hai.
- Zindagi Wo Jo Khwaabo-Khayalon Mein Hai,
- Wo To Shayad Mayassar Na Hogi Kabhi,
- Ye Jo Likhi Hui Inn Lakeeron Mein Hai,
- Ab Isee Zindgaani Ke Ho Jaayein Kya.
- Hanskar Jeena Hi Dastoor Hai Zindagi Ka,
- Ek Yehi Kissa MashHoor Hai Zindagi Ka,
- Beete Huye Pal Kabhi Laut Kar Nahi Aate,
- Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.
- ShatRanj Ki Tarah Khel Rahi Hai
- Meri Zindagi Mujhse,
- Kabhi Teri Mohabbat Maat Deti Hai
- Kabhi Meri Kismat.
- Kitna Aur Badloon Khud Ko
- Zindagi Jeene Ke Liye,
- Ai Zindagi Mujhko Thoda Sa
- Mujh Mein Baki Rehne De.
- Khushi Mein Bhi Aankh Aansoo Bahati Rahi,
- Jara Si Baat Humein Der Talak Rulaati Rahi,
- Koi Kho Ke Mil Gaya To Koi Mil Ke Kho Gaya,
- Zindagi Humko Bas Aise Hi Aazmaati Rahi.
- Hanskar Jeena Hi Dastoor Hai Zindagi Ka,
- Ek Yehi Kissa MashHoor Hai Zindagi Ka,
- Beete Huye Pal Kabhi Laut Kar Nahi Aate,
- Yehi Sabse Bada Kasoor Hai Zindagi Ka.
- Zindagi Ek Phool Hain
- Ye Hum Sabhi Ki Bhool Hain
- Girkar Khud hi Uthna Hain
- Zindagi Zine Ka Yahi Vasool Hain
- Hai chand bhi akela seetaron ke bich main
- jeete hai hum bhi tanha hazaron ke bich mainye Kaisa muqaddar likha hai mere maula tune
- koi yaar na mila yahan yaaron ke bich main
- Jeene ke waste teri baatein kharid loon
- mera bus chale to teri yaadein khareed loon
- har waqt jo sirf tera deedar kar saken
- sab kuch luta kar wo aakhin khareed loon
Motivational and Inspirational Shayari on Zindagi
Inspirational and motivational Shayari on Zindagi brightens the road of life with bravery, confidence, and resiliency, acting as an example of light. These lines inspire us to overcome challenges, go for our goals, and start on a journey of self-discovery with strong courage. They are like words of inspiration.
- Jang Mein Kagzi Afraat Se Kya Hota Hai,
- Himmatein Larti Hain, Tadaad Se Kya Hota Hai.
- Behtar Se Behtar Ki Talaash Karo,
- Mil Jaye Nadi Toh Samandar Ki Talaash Karo,
- Toot Jate Hain Sheeshe Pattharon Ki Chot Se,
- Tod De Patthar Aise Sheeshe Ki Talaash Karo.
- Tu Rakh Yakeen Bas Apne Iraadon Par,
- Teri Haar Tere Hauslon Se Toh Badi Nahi Hogi.
- Fasla Najron Ka Dhokha Bhi Toh Ho Sakta Hai,
- Koi Mile Na Mile Haath Barha Kar Dekho.
- Hausle Bhi Kisi Hakeem Se Kam Nahi Hote,
- Har Takleef Mein Takat Ki Davaa Dete Hain.
- Sabab Talash Karo… Apne Haar Jaane Ka,
- Kisi Ki Jeet Pe Rone Se Kuchh Nahi Hoga.
- Wo Ladenge Kya Ke Jo Khud Par Fida Hain,
- Hum Ladenge… Hum Khudaon Se Lade Hain.
- Dua Karo Ke Salamat Rahe Meri Himmat,
- Yeh Ek Chirag Kayi Aandhiyon Pe Bhari Hai.
- Muskurane Ke Bahaane Jaldi Khojo Varna,
- Zindgi Rulaane Ke Mauke Talaash Legi,
- Naam ke hote hain sirf bade shahar,
- maine to zindagi chote sehar mein dekha hai,
- dus logon ko chote se ghar mein hansi se aur,
- do logon ko bungle mein bhi udaas sa dekha hai.